Fanaa

Fanaa Best Movie Dialogues With Text and Image · Star: Aamir Khan, Kajol, Rishi Kapoor, Kirron Kher, Tabu, Sharat Saxena · Movie: Fanaa Film Dialogues, Lyrics, Status and Quotes
Fanaa Movie Details
Movie : Fanaa
Starring : Aamir Khan, Kajol, Rishi Kapoor, Kirron Kher, Tabu, Sharat Saxena
Music : Jatin-Lalit
Producer : Aditya Chopra, Yash Chopra
Director : Kunal Kohli
Written By : Shibani Bathija, Kunal Kohli
Release Date : 26 May 2006
Fanaa Dialogues

Tere Dil Me Meri Saason Ko Panaah Mil Jaye
Tere Ishq Me Meri Jaan Fanaa Ho Jaye

Humse Dur Jaoge Kaise,
Dil Se Hume Bhulaoge Kaise.
Hum Wo Khushboo Hai Jo Saason Me Bastein Hai,
Khud Ki Saason Ko Rok Paoge Kaise

Sahi Aur Galat Ke Beech Faisla Karna Bahut Aasan Hai
Lekin Do Sahi Raasto Me Se Behtar Chunana
Aur Do Galat Raasto Me Se Munasif
Yahi Hamari Zindagi Ke Faisle Karte Hai

Baithi Hai Hotho Ko Seekar… Pachtayengi Aap …
Ishq Jaag Uthta Hai Aksar,
Aaisi Khamoshi Ke Baad

Adhuri Saans Thi,
Dhadkan Adhuri Thi, Adhure Hum…
Magar Ab Chand Pura Hai Falak Pe
Aur Ab Pure Hai Hum.

Hum Aaj Joh Faisla Karte Hai
Wahi Hamare Kal Ka Faisla Karega

Sharab Pine De Masjid Me Baith Kar Ghalib
Ya Wo Jagah Dikha De Jahan Khuda Na Ho

Tujhe Is Bazaar Ka Dastur Main Samjha Nahi Sakta
Bik Gaya Jo Wo Khareedar Ho Nahi Sakta

Kahte Hai Pyar Me Nind Ud Jati Hai
Koi Humse Bhi Mohabbat Kare
Kambakht Nind Bahut Aati Hai.

Bhul Karke Agar Humse Koi Bhul Hui Ho,
To Bhul Samajhkar Bhula Dena …
Lekin Bhulana Sirf Bhul Ko,
Galati Se Bhi Hume Na Bhula Dena

Kash Main Oon Ka Gola Hota
Aur Unki Ungliyo Me Lipta Hota

Pani Se Pyaas Na Bhujhi
To Maikhane Ki Taraf Chal Nikla.
Socha Shikayat Karu Teri Khuda Se
Par Khuda Bhi Tera Aashiq Nikla…

Insaan Ki Khwaish Ki Koi Inteha Nahi
Do Gaz Zamin Chahiye Do Gaz Kafan Ke Baad

Phool Hu Gulab Ka
Chameli Ka Mat Samajhna.
Aashiq Hu Aapka
Apni Saheli Ka Mat Samajhna

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte
Jaam Dusron Se Chinkar Hum Piya Nahi Karte.
Unko Mohabbat Hai To Aakar Izhaar Kare,
Picha Hum Bhi Kisika Kiya Nahi Karte

Aag Suraj Me Hoti Hai,
Jalna Zamin Ko Padta Hai
Mohabbat Nigahein Karti Hai,
Tadapna Dil Ko Padta Hai.

Dard Se Aankhen Chaar Kar Lenge,
Hum Bhi Imtihan De Denge …
Teri Dosti Ke Khatir Ai Dost,
Hum Dushmano Se Bhi Pyar Kar Lenge

Jaan Usse Do Jo Apna Dil Tumhe De
Lekin Apna Guroor Sirf Us Pe Kurban Karo.
Jo Tumhare Pyar Me Fanaa Ho Jaye
Fanaa Best Movie Dialogues, Aamir Khan, Kajol, Rishi Kapoor, Kirron Kher, Tabu, Sharat Saxena Dialogues