Naseeb Best Movie Dialogues

Naseeb

Naseeb Best Movie Dialogues With Text and Image
Naseeb Best Movie Dialogues With Text and Image

Naseeb Best Movie Dialogues With Text and Image · Star: Govinda, Mamta Kulkarni, Kader Khan, Rahul Roy · Movie: Naseeb Film Dialogues, Lyrics, Status and Quotes

 


Naseeb Movie Details

 

Movie : Naseeb

Starring : Govinda, Mamta Kulkarni, Kader Khan, Rahul Roy

Music : Nadeem-Shravan, Sameer

Lyrics : Sameer

Producer : Vinay Kumar Sinha, Shanti Sinha

Dialogues : Aadesh K. Arjun

Director : Kirti Kumar

Editor : V.N. Mayekar

Written By : Aadesh K. Arjun

Release Date : 18 December 1997

 


Naseeb Dialogues

 

Auro Ke Liye Gunah Sahi
Hum Piye To Shawab Banti Hain
Sau Gamo Ko Nichodne Ke Bad
Ek Katra Sharab Banti Hain

 

Mujhko Lambi Umra Ki Duaa Na Do
Jitni Guzari Hain Nagawar Guzari Hain

 

Gham Se Khali Nahi Hain Dil Ka Kona Koi
Ham Rahe Na Rahe Hum Pe Na Rona Koi

 

Apni Hadd Se Na Guzare Koi Ishq Me
Jise Jo Milta Hain Naseeb Se Milta Hain

 

Jab Maine Dil Se Jane Walo Ka Gam Nahi Kiya
To Ghar Se Jane Walo Ki Parwah Kya Karunga
Master Tu Sirf Bato Ki Chindiya Rafu Kar Sakta Hain
Dilo Ke Chithdo Ko Nahi Chal Jaa

 

Shakhtiyo Ko Jhelne Ke Liye Chahiye Pathhar Ka Dil
Hath Bhar Ka Kaleza Ho Dil Lagane Ke Liye

 

Pyar Ka Dard Bada Janleva Hota Hain Pooja Ji
Maine To Tumhe Maf Kiya Magar Aainda Kabhi
Insan Ka Janm Mile To Mohabbat
Bada Soch Samajh Se Kijiyega

 

Aadhi Se Jyada Duniya Garibi
Aur Bhukh Ke Lapete Me Lipti Hui Hain
Koi Ro Ke Use Bata Deta Hain
To Koi Hanskar Chhupa Deta Hain
Magar Phir Bhi Khudkhushi
Uska Hal Nahi Hai Mere Dost..

 

Pyar Hum Dono Ne Kiya
Magar Tadpna Sirf
Mere Nasib Me Aaya

 

Yeh India Hai India
Yaha Par Aurat Deewar Se
To Gir Sakti Hai …
Magar Apne Mayan Se Nahi

 

Maine Kabhi Tumhare
Jism Se Nahin
Tumhari Aatma Se Pyar Kiya

 

Mohabbat Ko Samajhna Hai Agar
To Dariya Me Kuda Kar
Kyoki Kinare Pe Ukhudu Baithne Se
Andaz-e-tufan Nahi Hota

 

Aurat Us Waqt Tak Sita Savitri Hoti Hai,
Jab Tak Uska Pati Ram Aur Satyavan Hota Hai
Jis Din Ye Maryada Tutti Hai Na,
Aurat Ek Aaisa Uljha Hua Sawaal Ban Jaati Hai
Jisse Koi Mard Suljha Nahi Sakta

 

Kisi Shaitan Ki Di Hui Saugat Se
Kisi Insan Ki Di Hui
Khairat Zyada Achchi Hai

 

Bhare Sawan Me Registan Lagta Hain
Mera Ye Ghar Khali Makan Lagta Hain

 

Is Duniya Me Daulat
Paida Karna Bada Aasan Hain
Magar Kisi Ke Dil Me
Jagah Banana Bada Mushkil Hain

 

Wo Mujhe Yad Nahi Aayi
Nazar Aa Gayi Master
Uske Aaj Ke Deedar Ne Mere
Kal Ke Jakhmo Ko Hara Kar Diya
Mai Dard Se Tadap Utha Hu
Toot Kar Pyar Kiya Tha Maine Use

 

Pyar Mohabbat To Ek Bar Log Kar Lete Hain,
Magar Shadi Byaah Bahut Soch Samajh Kar Kiya Jata Hai
Jat Pat Unch Nich Pidi Sidi Khandan Pandan
Sanskar Car Bank Balance
Aand Band Sand Baba Ji Ka Ghant
Sab Dekha Jata Hain

 

Wo Kisi Aur Ki Ho Sakti Hai Lekin
Maine To Kisi Aur Ko Nahi Apnaya
Mai Aaj Bhi Uski Tasvir Ki Pooja Karta Hu
Ye Pooja Hoti Hi Aesi Hain
Koi Murat Ko Poojta Hain
Koi Sirat Ko..

 


Naseeb Best Movie Dialogues, Govinda, Mamta Kulkarni, Kader Khan, Rahul Roy Dialogues

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *